suulii de do
salīb par chaḌhāo
oh suulī de do
har roz har lamhe yūñhī suulī dete raho
din bhar nafrat kā talḳh-o-tez zā.iqa apnī nok-e-zabāñ par
sajā.e rakho
suulī do
barchhā mārne kā fan sīkho
aisā ki ār-pār ho jaa.e
ye chīzeñ tumhārī ragoñ ko jhanjhanā deñgī
in kī mashq jaarī rakho
'adāvat ke giit gaao
mohabbat kī fuzūl bakvās se
inheñ hargiz ālūda mat karo
suulī de do
salib par chaDhao
oh suli de do
har roz har lamhe yunhi suli dete raho
din bhar nafrat ka talKH-o-tez zaiqa apni nok-e-zaban par
sajae rakho
suli do
barchha marne ka fan sikho
aisa ki aar-par ho jae
ye chizen tumhaari ragon ko jhanjhana dengi
in ki mashq jari rakho
'adawat ke git gao
mohabbat ki fuzul bakwas se
inhen hargiz aaluda mat karo
suli de do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.