tanhaa.ii
mujh par itne patthar barsā.e ga.e haiñ
ki ab maiñ un ke ḳhauf se āzād huuñ
aur gaḌhā ek Thos mīnār ban chukā hai
buland mīnāroñ ke darmiyān buland
maiñ me'māroñ kā shukriya adā kartī huuñ
musībat aur ġham unheñ chhue baġhair guzar jaa.eñ
yahāñ se maiñ tulū'-e-āftāb kuchh pahle dekhtī huuñ
yahāñ sūraj kī āḳhirī shu'ā' ḳhushī manātī hai
aur aksar mere kamre kī khiḌkiyoñ se
shumālī samundarī kī havā.eñ andar aatī haiñ
aur ek fāḳhta mere haath par baiThī gandum ke daane chugtī hai
aur jahāñ tak mere nā-mukammal safhe kā ta'alluq hai
shā'irī kī devī kī salonī uñgliyāñ
rūhānī sukūñ aur nazākat ke saath
use mukammal kartī haiñ
mujh par itne patthar barsae gae hain
ki ab main un ke KHauf se aazad hun
aur gaDha ek Thos minar ban chuka hai
buland minaron ke darmiyan buland
main me'maron ka shukriya ada karti hun
musibat aur gham unhen chhue baghair guzar jaen
yahan se main tulu'-e-aftab kuchh pahle dekhti hun
yahan suraj ki aaKHiri shu'a' KHushi manati hai
aur aksar mere kamre ki khiDkiyon se
shumali samundari ki hawaen andar aati hain
aur ek faKHta mere hath par baiThi gandum ke dane chugti hai
aur jahan tak mere na-mukammal safhe ka ta'alluq hai
sha'iri ki dewi ki saloni ungliyan
ruhani sukun aur nazakat ke sath
use mukammal karti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.