maiñ ek daraḳht huuñ kisī 'amīq-o-tīra ḳhaar meñ
koī nahīñ ki jis se baat koī karūñ kabhī
tum ūñche duur āsmān pe goyā ek chāñd ho
tum ek lamha jaate jaate rāste meñ ruk ga.e
nigāh tum ne mujh pe kī
phir aise jaise aa.e the chale ga.e chale ga.e
koī bhī aisī teġh-e-tez is jahān meñ nahīñ
jo qat' kar ke aab kī ravāniyoñ ko rok de
mire ḳhayāl isī tarah haiñ jaise sat.h-e-āb ho
hamesha ye tumhāre saath saath haiñ ravāñ-davāñ
main ek daraKHt hun kisi 'amiq-o-tira KHar mein
koi nahin ki jis se baat koi karun kabhi
tum unche dur aasman pe goya ek chand ho
tum ek lamha jate jate raste mein ruk gae
nigah tum ne mujh pe ki
phir aise jaise aae the chale gae chale gae
koi bhi aisi tegh-e-tez is jahan mein nahin
jo qat' kar ke aab ki rawaniyon ko rok de
mere KHayal isi tarah hain jaise sath-e-ab ho
hamesha ye tumhaare sath sath hain rawan-dawan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.