te.iisvii.n saalgirah par
Interesting Fact
(ملٹن کے سانٹ ON TWENTY THIRD BIRTH DAY کا ترجمہ )
chhīn liiñ vaqt ne te.iis bahāreñ merī
aah is rahzan-e-'ayyār ne mujh ko luuTā
tez-gāmī se bahāreñ to huī haiñ ruḳhsat
shāḳh-e-hastī se magar ġhuncha na koī phūTā
kaun lā.egā yaqīñ dekh ke sūrat merī
kaun mānegā ki mujh par bhī bahār aa.ī hai
hosh kī aañkh bhī ab tak nahīñ khulne paa.ī
ye vo daulat hai jo aġhyār ne hī paa.ī hai
ḳhair jo kuchh bhī hai sab Thiik hai sab achchhā hai
is meñ muzmar hai koī raaz hameñ kyā mā'lūm
qalam-e-kātib-e-taqdīr ne jo likkhā hai
is meñ hikmat hai koī is kā hai gahrā mafhūm
jis bhī 'ālam meñ haiñ jis rang meñ bhī insāñ haiñ
ḳhāliq-e-kul kī nigāhoñ meñ to sab yaksāñ haiñ
chhin lin waqt ne teis bahaaren meri
aah is rahzan-e-'ayyar ne mujh ko luTa
tez-gami se bahaaren to hui hain ruKHsat
shaKH-e-hasti se magar ghuncha na koi phuTa
kaun laega yaqin dekh ke surat meri
kaun manega ki mujh par bhi bahaar aai hai
hosh ki aankh bhi ab tak nahin khulne pai
ye wo daulat hai jo aghyar ne hi pai hai
KHair jo kuchh bhi hai sab Thik hai sab achchha hai
is mein muzmar hai koi raaz hamein kya ma'lum
qalam-e-katib-e-taqdir ne jo likkha hai
is mein hikmat hai koi is ka hai gahra mafhum
jis bhi 'alam mein hain jis rang mein bhi insan hain
KHaliq-e-kul ki nigahon mein to sab yaksan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.