tirii KHaatir miraa dushman hu.aa dil
tirī ḳhātir mirā dushman huā dil
mohabbat meñ musībat ban gayā dil
yahī haiñ gar tirī zulfoñ ke tevar
to kyā ham aur kahāñ jaan aur kyā dil
udhar chashm-e-karam kā ik ishāra
idhar jaañ hai tasadduq aur fidā dil
maiñ dil ko kis tarah samjhā.ūñ nāseh
ki kosoñ duur hai mujh se mirā dil
bas ik dil-dār hī kaafī hai 'ḳhusro'
koī yuuñ pheñktā hai jā-ba-jā dil
teri KHatir mera dushman hua dil
mohabbat mein musibat ban gaya dil
yahi hain gar teri zulfon ke tewar
to kya hum aur kahan jaan aur kya dil
udhar chashm-e-karam ka ek ishaara
idhar jaan hai tasadduq aur fida dil
main dil ko kis tarah samjhaun naseh
ki koson dur hai mujh se mera dil
bas ek dil-dar hi kafi hai 'KHusro'
koi yun phenkta hai ja-ba-ja dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.