tum
tum mujhe pasand isī liye kuchh kuchh
duur rahtā huuñ tum se duur hī se
rang dikhā.ī dete haiñ tumhāre ehsās hotā hai tumhāre hone kā
samajh saktā huuñ tumheñ behtar tarīqe par cinema kī gut.tham gutthā qatāreñ
dekh kar ġhussa nahīñ aatā ek sīlan bharī kholī meñ
fōtpath par daftar ke saḌe hue bil meñ
kyā kare koī is se to film hī behtar hai
gudāz sīnoñ vaalī adākāra achchhī lagtī hai scrēn par
is ke baa'd biivī bhī achchhī lagtī hai ghar par
tum rote ho ḳhush hote ho shādī karte ho
bachche paidā karte ho taqrīboñ meñ jaate ho qabristānoñ meñ jaate ho
ThasāThas bharī local train meñ rummy khelte ho fōtboard par
thak kar bahas karte ho siyāsī mauzuāt par
'ishq karte ho kabhī kabhī sidq-e-dil se
pyaar yā'nī bosa-bāzī bhī karte ho khul kar
morche nikālte ho nā're lagāte ho magar
ḳhushk nahīñ hotā tumhārā galā kisī lamhe bhī
chane chabāte ho goliyāñ khāte ho shahīd hote ho
phir tumhārī yādgāroñ par
kavve biiT karte haiñ aur kāmyāb siyāsī netā
haar chaḌhāte haiñ tumheñ chunāv se pahle
tum jeb kāTte ho bhāshan sunte ho
hukūmat aur sharāb ke aDDe chalāte ho mandir jaate ho
chāqū dikhāte ho boycott karte ho lafḌe karte ho
tumhāre paas aatmā qayāsāt-o-nazariyāt ke
kūlhoñ par laat mārne vaalī aatmā
tum bahte chale jaate ho musalsal bahte rahte ho
raftār ulTī sīdhī uupar nīche aaḌī tirchhī raftār
karnā hogā hogā honā hī hogā
sochne kā bhī vaqt nahīñ pas lagātār jiite rahte ho
tumhārī nasleñ dafan ho jaatī haiñ yahī tumhārī rivāyat hai
tum daadā ho galī se lekar dillī tak ke
tum vote dete ho saḌak par peshāb karte ho
tumheñ baavā bhī chāhiye aur bevḌā bhī
aur phir tum hī us kī jayantī manāte ho
bhūke nāḳhunoñ se noch lete ho
vo saare sapne jo mahātmāoñ ne tumhārī ḳhātir dekhe the
aur jab tumhārī biivī bachcha jantī hai
tab tum be-qarārī se Tahalte ho
intizār karte ho ek 'ajīb bechainī ke saath
ek na.ī nannhī sī aane vaalī duniyā kā
aur jab laal miTī bhare Tiin ke zañg-ḳhurda Dibboñ ko
tum gamloñ kī sūrat laTkāte ho
un meñ phuul ugāte ho tab tum aise lagte ho
jaise chehroñ kā ek gahrā be-ant sāgar
jaise ek dhaḌaktā huā dil bahut hī vishāl
aise bharpūrpan meñ apnī vishāltā tum ḳhud ho
tab mujhe miltā hai apnā bharpūr ādamiyoñ
tumhāre vajūd kā ehsās karte hue apne lahū meñ
tumhārepan kī kokh meñ paltā huā mahsūs hotā hai mujhe
merāpan aur ruuh meñ utar jaane vaale mere naġhme
tum mujhe pasand isi liye kuchh kuchh
dur rahta hun tum se dur hi se
rang dikhai dete hain tumhaare ehsas hota hai tumhaare hone ka
samajh sakta hun tumhein behtar tariqe par cinema ki guttham guttha qataren
dekh kar ghussa nahin aata ek silan bhari kholi mein
footpath par daftar ke saDe hue bil mein
kya kare koi is se to film hi behtar hai
gudaz sinon wali adakara achchhi lagti hai screen par
is ke ba'd biwi bhi achchhi lagti hai ghar par
tum rote ho KHush hote ho shadi karte ho
bachche paida karte ho taqribon mein jate ho qabristanon mein jate ho
ThasaThas bhari local train mein rummy khelte ho footboard par
thak kar bahas karte ho siyasi mauzuat par
'ishq karte ho kabhi kabhi sidq-e-dil se
pyar ya'ni bosa-bazi bhi karte ho khul kar
morche nikalte ho na're lagate ho magar
KHushk nahin hota tumhaara gala kisi lamhe bhi
chane chabaate ho goliyan khate ho shahid hote ho
phir tumhaari yaadgaron par
kawwe biT karte hain aur kaamyab siyasi neta
haar chaDhate hain tumhein chunaw se pahle
tum jeb kaTte ho bhashan sunte ho
hukumat aur sharab ke aDDe chalate ho mandir jate ho
chaqu dikhate ho boycott karte ho lafDe karte ho
tumhaare pas aatma qayasat-o-nazariyat ke
kulhon par lat marne wali aatma
tum bahte chale jate ho musalsal bahte rahte ho
raftar ulTi sidhi upar niche aaDi tirchhi raftar
karna hoga hoga hona hi hoga
sochne ka bhi waqt nahin pas lagatar jite rahte ho
tumhaari naslen dafan ho jati hain yahi tumhaari riwayat hai
tum dada ho gali se lekar dilli tak ke
tum wote dete ho saDak par peshab karte ho
tumhein bawa bhi chahiye aur bewDa bhi
aur phir tum hi us ki jayanti manate ho
bhuke naKHunon se noch lete ho
wo sare sapne jo mahatmaon ne tumhaari KHatir dekhe the
aur jab tumhaari biwi bachcha janti hai
tab tum be-qarari se Tahalte ho
intizar karte ho ek 'ajib bechaini ke sath
ek nai nannhi si aane wali duniya ka
aur jab lal miTi bhare Tin ke zang-KHurda Dibbon ko
tum gamlon ki surat laTkate ho
un mein phul ugate ho tab tum aise lagte ho
jaise chehron ka ek gahra be-ant sagar
jaise ek dhaDakta hua dil bahut hi wishaal
aise bharpurpan mein apni wishaalta tum KHud ho
tab mujhe milta hai apna bharpur aadamiyon
tumhaare wajud ka ehsas karte hue apne lahu mein
tumhaarepan ki kokh mein palta hua mahsus hota hai mujhe
merapan aur ruh mein utar jaane wale mere naghme
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.