uThaa suraahii ye jaam-e-sharaab bhar kar de
uThā surāhī ye jām-e-sharāb bhar kar de
ḳharāb-hāl ko apne ḳharāb-tar kar de
maiñ dard-kash huuñ nahīñ hājat ābgīne kī
koī sifāl-e-shikasta hī tū idhar kar de
abhī maiñ hosh meñ huuñ duur duur huuñ tujh se
do jaam aur pilā aur be-ḳhabar kar de
hai tark-e-sohbat-e-derīna aarzū us kī
is aarzū hī ko yā-rab tū be-asar kar de
uTha surahi ye jam-e-sharab bhar kar de
KHarab-haal ko apne KHarab-tar kar de
main dard-kash hun nahin hajat aabgine ki
koi sifal-e-shikasta hi tu idhar kar de
abhi main hosh mein hun dur dur hun tujh se
do jam aur pila aur be-KHabar kar de
hai tark-e-sohbat-e-derina aarzu us ki
is aarzu hi ko ya-rab tu be-asar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.