vo gesuu fitna-e-jaa.n ho.n to dil aabaad kyaa hogaa
vo gesū fitna-e-jāñ hoñ to dil ābād kyā hogā
ġham-e-hijrāñ kā ye 'ālam to koī shaad kyā hogā
jo nālāñ hai mirī jaañ dil kī vīrānī pe hone do
kisī be-ḳhānumāñ ke lab pe juz fariyād kyā hogā
na jaane kaise kaise dāstān-e-dard dohrā.ī
magar is dard se nā-āshnā ko yaad kyā hogā
tumhārī yaad dil par laa.ī hai barbādiyāñ kyā kyā
jo sultāñ hī sitam Dhaa.e to mulk ābād kyā hogā
wo gesu fitna-e-jaan hon to dil aabaad kya hoga
gham-e-hijran ka ye 'alam to koi shad kya hoga
jo nalan hai meri jaan dil ki virani pe hone do
kisi be-KHanuman ke lab pe juz fariyaad kya hoga
na jaane kaise kaise dastan-e-dard dohrai
magar is dard se na-ashna ko yaad kya hoga
tumhaari yaad dil par lai hai barbaadiyan kya kya
jo sultan hi sitam Dhae to mulk aabaad kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.