vo shaKHs
us ne ek din mujhe apne saath khānā khilāyā
soup aur khāne ke baad us ne do gilās uThā.e
ek meñ sharāb uñDelī
dūsre meñ talḳh jaḌī-būTiyoñ kā sharbat
mujhe koī ishāra kiye baġhair us ne apnā talḳh jaam uThā liyā
aur ba-āsānī ek saañs meñ
apnī ḳhūrāk pī gayā
aur kahā ki dūsrā jaam merā thā
maiñ ne jab pūchhā ye kyā mazāq hai
vo sirf merī taraf dekhtā rahā
aur muskurātā rahā
aur kahā ki yahī us kā tarīqa hai
aur agarche maiñ us shaḳhs se ḳhuub vāqif huuñ
maiñ ne ek 'umr gañvā dī hai
yahī sochte hue ki maiñ us kī tarah
ḳhush kab rah sakūñgā
us ne ek din mujhe apne sath khana khilaya
soup aur khane ke baad us ne do gilas uThae
ek mein sharab unDeli
dusre mein talKH jaDi-buTiyon ka sharbat
mujhe koi ishaara kiye baghair us ne apna talKH jam uTha liya
aur ba-asani ek sans mein
apni KHurak pi gaya
aur kaha ki dusra jam mera tha
main ne jab puchha ye kya mazaq hai
wo sirf meri taraf dekhta raha
aur muskuraata raha
aur kaha ki yahi us ka tariqa hai
aur agarche main us shaKHs se KHub waqif hun
main ne ek 'umr ganwa di hai
yahi sochte hue ki main us ki tarah
KHush kab rah sakunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.