ye gahre saa.e barastaa saavan
ye gahre saa.e barastā sāvan
tumhāre qadmoñ kī rāzdārī
ki raat goyā utar rahī hai
nigāh-bānoñ se bach-bachā kar
ye aaj kī sub.h ne to jaise
haiñ band kar rakkhī apnī āñkheñ
ki bād-e-mashriq kī mustaqil dastakeñ bhī koī
javāb paatī nahīñ haiñ us kā
ye āsmāñ jo hamesha bedār hī rahā hai
dabīz sā us ke muñh pe ghūñghaT paḌā hai
na jangaloñ se sunā.ī detā hai koī naġhma
har ek ghar ke darīche darvāze band haiñ sab
ki ġhair-ābād rāstoñ par
tumhī akele safar pe nikle
bas ek tum hī ho dost mere
tumhī ho mahbūb sab se achchhe
tumhārī ḳhātir khule hue haiñ
tamām darvāze mere ghar ke
yahāñ se guzro na ḳhvāb ban kar
ye gahre sae barasta sawan
tumhaare qadmon ki raazdari
ki raat goya utar rahi hai
nigah-banon se bach-bacha kar
ye aaj ki subh ne to jaise
hain band kar rakkhi apni aankhen
ki baad-e-mashriq ki mustaqil dastaken bhi koi
jawab pati nahin hain us ka
ye aasman jo hamesha bedar hi raha hai
dabiz sa us ke munh pe ghunghaT paDa hai
na jangalon se sunai deta hai koi naghma
har ek ghar ke dariche darwaze band hain sab
ki ghair-abaad raston par
tumhi akele safar pe nikle
bas ek tum hi ho dost mere
tumhi ho mahbub sab se achchhe
tumhaari KHatir khule hue hain
tamam darwaze mere ghar ke
yahan se guzro na KHwab ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.