zindagii
zindagī zindagī ye maiñ huuñ hanūz
sar-ba-sar tujh se aaj tak labrez
na ye sochā ki rishte paara karūñ
na ye chāhā karūñ maiñ tujh se gurez
saare zarrāt jism-e-ḳhākī ke
ai mire she'r-e-garm tujh se Dhale
jis tarah bādaloñ se paak falak
bāda-e-roz se labālab hai
an-ginat koñpaloñ se chheḌtā hai
būta-e-nastaran surūd tirā
baaġh meñ jab havā.eñ chaltī haiñ
us ko pahuñchātī haiñ durūd tirā
maiñ ne tujh ko tujhī meñ DhūñDā hai
kisī ḳhvāb-o-ḳhayāl meñ tū nahīñ
maiñ Dhalī tere saḳht hāthoñ se
dekh le merī shān-e-zebā.ī
mujh meñ haiñ an-ginat tarāne siyāh
mujh meñ haiñ an-ginat tarāne sapīd
haiñ hazāroñ sharāra-hā-e-niyāz
aur hazāroñ sitārgān-e-umīd
haif us roz par ki ġhusse meñ
tujh pe Daalī thī dushmanī kī nazar
jab ki jaanā tirā fareb fuzūl
thak ga.ī tujh se kar rahī thī hazar
ġhāfil is se ki tū to qaa.em hai
maiñ guzartī huuñ misl-e-āb-e-ravāñ
maiñ ġhubār-e-zavāl meñ Dhaltī
rah-e-tārīk-e-marg par huuñ davāñ
aah ai zindagī maiñ aa.ina huuñ
merī āñkhoñ meñ hai tujhī se nigāh
varna gar marg mujh pe Daale nazar
kyoñ na fauran ye aa.ina ho siyāh
'ishq hai sub.h ke sitāre se
uḌte bādal se 'ishq hai mujh ko
mujh ko bārish se 'ishq hai aur har
aisī shai se jo tere naam pe ho
zindagi zindagi ye main hun hanuz
sar-ba-sar tujh se aaj tak labrez
na ye socha ki rishte para karun
na ye chaha karun main tujh se gurez
sare zarraat jism-e-KHaki ke
ai mere she'r-e-garm tujh se Dhale
jis tarah baadalon se pak falak
baada-e-roz se labaalab hai
an-ginat konpalon se chheDta hai
buta-e-nastaran surud tera
bagh mein jab hawaen chalti hain
us ko pahunchati hain durud tera
main ne tujh ko tujhi mein DhunDa hai
kisi KHwab-o-KHayal mein tu nahin
main Dhali tere saKHt hathon se
dekh le meri shan-e-zebai
mujh mein hain an-ginat tarane siyah
mujh mein hain an-ginat tarane sapid
hain hazaron sharara-ha-e-niyaz
aur hazaron sitargan-e-umid
haif us roz par ki ghusse mein
tujh pe Dali thi dushmani ki nazar
jab ki jaana tera fareb fuzul
thak gai tujh se kar rahi thi hazar
ghafil is se ki tu to qaem hai
main guzarti hun misl-e-ab-e-rawan
main ghubar-e-zawal mein Dhalti
rah-e-tarik-e-marg par hun dawan
aah ai zindagi main aaina hun
meri aankhon mein hai tujhi se nigah
warna gar marg mujh pe Dale nazar
kyon na fauran ye aaina ho siyah
'ishq hai subh ke sitare se
uDte baadal se 'ishq hai mujh ko
mujh ko barish se 'ishq hai aur har
aisi shai se jo tere nam pe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.