Sher of Nitin Nayab
kahīñ se aa kar kuchh lahroñ ne Dubo hī Daalā thā aur phir
kahīñ se aa kar kisī ne merī jaan bachā.ī paanī meñ
kahin se aa kar kuchh lahron ne Dubo hi Dala tha aur phir
kahin se aa kar kisi ne meri jaan bachai pani mein
aisā kyā 'ishq jo rusvā.ī 'atā kar na sake
aisī kis kaam kī rusvā.ī ki shohrat bhī nahīñ
aisa kya 'ishq jo ruswai 'ata kar na sake
aisi kis kaam ki ruswai ki shohrat bhi nahin
zaḳhm nahīñ mā'lūm chalā par daaġh kahāñ kho saktā hai
dard usī ke ās-pās hai aur kahāñ ho saktā hai
zaKHm nahin ma'lum chala par dagh kahan kho sakta hai
dard usi ke aas-pas hai aur kahan ho sakta hai
ḳhvāb meñ koī to manzil unheñ dikhtī hogī
jaate to hoñge kahīñ niiñd meñ chalne vaale
KHwab mein koi to manzil unhen dikhti hogi
jate to honge kahin nind mein chalne wale
galī ke moḌ pe beva hai bad-nasīb koī
suhāganoñ ke liye chūḌiyāñ banātī hai
gali ke moD pe bewa hai bad-nasib koi
suhaganon ke liye chuDiyan banati hai
tumhāre hijr ko vo kam-nasīb kyā samjhe
jise ḳhabar hī nahīñ kis qadar hasīñ ho tum
tumhaare hijr ko wo kam-nasib kya samjhe
jise KHabar hi nahin kis qadar hasin ho tum
mustaqbil ab ke tere ta'āqub kī rau meñ dekh
maazī to kyā maiñ haal se aage nikal gayā
mustaqbil ab ke tere ta'aqub ki rau mein dekh
mazi to kya main haal se aage nikal gaya
kisī samundar se ek qatra agar nikal kar nadī kī jānib
qadam uThā le to vo safar ik misāl hogā kamāl hogā
kisi samundar se ek qatra agar nikal kar nadi ki jaanib
qadam uTha le to wo safar ek misal hoga kamal hoga
ḳhushk gul phir bhī kitāboñ meñ bhale lagte haiñ
zang lag jaa.e to talvār burī lagtī hai
KHushk gul phir bhi kitabon mein bhale lagte hain
zang lag jae to talwar buri lagti hai
tujh ko is jism kī raunaq pe bhalā kyoñ hai ġhurūr
jis kī zau qabr kī miTTī ke barābar bhī nahīñ
tujh ko is jism ki raunaq pe bhala kyon hai ghurur
jis ki zau qabr ki miTTi ke barabar bhi nahin
is tabassum ne to baazī hī palaT kar rakh dī
ab mujhe dekh ke rote haiñ rulāne vaale
is tabassum ne to bazi hi palaT kar rakh di
ab mujhe dekh ke rote hain rulane wale
'ishq kī chādar laayā huuñ aur ḳhaas baat ye hai is meñ
jitne pair pasāro ye utnī lambī ho jaatī hai
'ishq ki chadar laya hun aur KHas baat ye hai is mein
jitne pair pasaro ye utni lambi ho jati hai
sar yuuñ jhukte chale jaate haiñ ki gir hī na paḌeñ
aisī 'izzat mire sarkār burī lagtī hai
sar yun jhukte chale jate hain ki gir hi na paDen
aisi 'izzat mere sarkar buri lagti hai
dukh ke bāzār meñ ham zabt kamāne vaale
ashk ko aañkh kā nuqsān kahā karte haiñ
dukh ke bazar mein hum zabt kamane wale
ashk ko aankh ka nuqsan kaha karte hain
ga.e baras to suno ki sūraj ne itnī shiddat se aag uglī
ki chhāoñ dene ke vāste jo shajar ugaa.e the jal ga.e sab
gae baras to suno ki suraj ne itni shiddat se aag ugli
ki chhaon dene ke waste jo shajar ugae the jal gae sab
barsoñ se qatra qatra jo ho rahī thī yakjā
vo muntashir ḳhamoshī ab shor ho ga.ī hai
barson se qatra qatra jo ho rahi thi yakja
wo muntashir KHamoshi ab shor ho gai hai
dil vo parvat ki jo ik samt jhukā jaatā hai
ġham vo dariyā ki jo rahtā hai ravāñ ek taraf
dil wo parwat ki jo ek samt jhuka jata hai
gham wo dariya ki jo rahta hai rawan ek taraf
sard havāoñ kā qabza thā sāgar ke us Taapu par
maiñ ne apnā ashk girā kar aag lagā.ī paanī meñ
sard hawaon ka qabza tha sagar ke us Tapu par
main ne apna ashk gira kar aag lagai pani mein
ham apne pairoñ kā ek kāñTā nikālne ke liye ruke the
bas itne lamhe kā bītnā thā ki ham se aage nikal ga.e sab
hum apne pairon ka ek kanTa nikalne ke liye ruke the
bas itne lamhe ka bitna tha ki hum se aage nikal gae sab
ham logoñ ko samjhe aur na logoñ ne ham ko samjhā
ham logoñ ko aur ham ko samjhā samjhā kar haare log
hum logon ko samjhe aur na logon ne hum ko samjha
hum logon ko aur hum ko samjha samjha kar haare log