ALL
Profile
Ghazal66
Nazm101
Sher103
E-book57
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari33
Audio37
Video53
Qita4
Qisse3
Gallery 3
Blog4
Other
Lori1
Geet49
Filmi Geet8
Sahir Ludhianvi
Ghazal 66
Nazm 101
Sher-o-Shayari 103
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuuñ dekheñ zindagī ko kisī kī nazar se ham
le de ke apne pas faqat ek nazar to hai
kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se hum
-
Share this
- See Ghazal
ham to samjhe the ki ham bhuul ga.e haiñ un ko
kyā huā aaj ye kis baat pe ronā aayā
hum to samjhe the ki hum bhul gae hain un ko
kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya
-
Share this
- See Ghazal
ġham aur ḳhushī meñ farq na mahsūs ho jahāñ
maiñ dil ko us maqām pe laatā chalā gayā
gham aur KHushi mein farq na mahsus ho jahan
main dil ko us maqam pe lata chala gaya
-
Share this
- See Ghazal
Qita 4
Qisse 3
Lori 1
Geet 49
BOOKS 57
Image Shayari 33
ye mahlo.n ye taKHto.n ye taajo.n kii duniyaa ye insaa.n ke dushman samaajo.n kii duniyaa ye daulat ke bhuuke rivaajo.n kii duniyaa ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai har ik jism ghaayal har ik ruuh pyaasii nigaaho.n me.n uljhan dilo.n me.n udaasii ye duniyaa hai yaa 'aalam-e-bad-havaasii ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai yahaa.n ik khilaunaa hai insaa.n kii hastii ye bastii hai murda-parasto.n kii bastii yahaa.n par to jiivan se hai maut sastii ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai javaanii bhaTaktii hai bad-kaar ban kar javaa.n jism sajte hai.n baazaar ban kar yahaa.n pyaar hotaa hai bevpaar ban kar ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai ye duniyaa jahaa.n aadmii kuchh nahii.n hai vafaa kuchh nahii.n dostii kuchh nahii.n hai jahaa.n pyaar kii qadr hii kuchh nahii.n hai ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai jalaa do ise phuu.nk Daalo ye duniyaa mire saamne se haTaa lo ye duniyaa tumhaarii hai tum hii sa.nbhaalo ye duniyaa ye duniyaa agar mil bhii jaa.e to kyaa hai