aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
ye shahar hai ki numā.ish lagī huī hai koī
jo aadmī bhī milā ban ke ishtihār milā
ye shahar hai ki numaish lagi hui hai koi
jo aadmi bhi mila ban ke ishtihaar mila
hamāre aib ne be-aib kar diyā ham ko
yahī hunar hai ki koī hunar nahīñ aatā
hamare aib ne be-aib kar diya hum ko
yahi hunar hai ki koi hunar nahin aata
safar meñ dhuup to hogī jo chal sako to chalo
sabhī haiñ bhiiḌ meñ tum bhī nikal sako to chalo
safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo
sabhi hain bhiD mein tum bhi nikal sako to chalo
ham tum meñ kal duurī bhī ho saktī hai
vaj.h koī majbūrī bhī ho saktī hai
hum tum mein kal duri bhi ho sakti hai
wajh koi majburi bhi ho sakti hai
'hafīz' apnī bolī mohabbat kī bolī
na urdu na hindī na hindostānī
'hafiz' apni boli mohabbat ki boli
na urdu na hindi na hindostani
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books