aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
kuchh na pūchho 'firāq' ahd-e-shabāb
raat hai niind hai kahānī hai
kuchh na puchho 'firaq' ahd-e-shabab
raat hai nind hai kahani hai
ḳhvāb kī tarah bikhar jaane ko jī chāhtā hai
aisī tanhā.ī ki mar jaane ko jī chāhtā hai
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
surḳh-rū hotā hai insāñ Thokareñ khāne ke ba.ad
rañg laatī hai hinā patthar pe pis jaane ke ba.ad
surKH-ru hota hai insan Thokaren khane ke baad
rang lati hai hina patthar pe pis jaane ke baad
zindagī kyā hue vo apne zamāne vaale
yaad aate haiñ bahut dil ko dukhāne vaale
zindagi kya hue wo apne zamane wale
yaad aate hain bahut dil ko dukhane wale
ik roz chhīn legī hamīñ se zamīñ hameñ
chhīneñge kyā zamīñ ke ḳhazāne zamīñ se ham
ek roz chhin legi hamin se zamin hamein
chhinenge kya zamin ke KHazane zamin se hum
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books