aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
na.e daur ke na.e ḳhvāb haiñ na.e mausamoñ ke gulāb haiñ
ye mohabbatoñ ke charāġh haiñ inheñ nafratoñ kī havā na de
nae daur ke nae KHwab hain nae mausamon ke gulab hain
ye mohabbaton ke charagh hain inhen nafraton ki hawa na de
aañkh rakhte ho to us aañkh kī tahrīr paḌho
muñh se iqrār na karnā to hai aadat us kī
aankh rakhte ho to us aankh ki tahrir paDho
munh se iqrar na karna to hai aadat us ki
jāgte jāgte ik umr kaTī ho jaise
jaan baaqī hai magar saañs rukī ho jaise
jagte jagte ek umr kaTi ho jaise
jaan baqi hai magar sans ruki ho jaise
sāmne hai jo use log burā kahte haiñ
jis ko dekhā hī nahīñ us ko ḳhudā kahte haiñ
samne hai jo use log bura kahte hain
jis ko dekha hi nahin us ko KHuda kahte hain
zabāñ zabāñ pe shor thā ki raat ḳhatm ho ga.ī
yahāñ sahar kī aas meñ hayāt ḳhatm ho ga.ī
zaban zaban pe shor tha ki raat KHatm ho gai
yahan sahar ki aas mein hayat KHatm ho gai
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books