aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
tumhāre hisse ke jitne bhī ġham haiñ maiñ le luuñ
mire nasīb kī har ik ḳhushī mile tum ko
tumhaare hisse ke jitne bhi gham hain main le lun
mere nasib ki har ek KHushi mile tum ko
agar fursat mile paanī kī tahrīroñ ko paḌh lenā
har ik dariyā hazāroñ saal kā afsāna likhtā hai
agar fursat mile pani ki tahriron ko paDh lena
har ek dariya hazaron sal ka afsana likhta hai
aag the ibtidā-e-ishq meñ ham
ab jo haiñ ḳhaak intihā hai ye
aag the ibtida-e-ishq mein hum
ab jo hain KHak intiha hai ye
maiñ baaġh meñ huuñ tālib-e-dīdār kisī kā
gul par hai nazar dhyān meñ ruḳhsār kisī kā
main bagh mein hun talib-e-didar kisi ka
gul par hai nazar dhyan mein ruKHsar kisi ka
āñkhoñ se vo kabhī mirī ojhal nahīñ rahā
ġhāfil maiñ us kī yaad se ik pal nahīñ rahā
aankhon se wo kabhi meri ojhal nahin raha
ghafil main us ki yaad se ek pal nahin raha
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books