aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
ek kiran bas raushniyoñ meñ sharīk nahīñ hotī
dil ke bujhne se duniyā tārīk nahīñ hotī
ek kiran bas raushniyon mein sharik nahin hoti
dil ke bujhne se duniya tarik nahin hoti
ai mire ghar kī fazāoñ se gurezāñ mahtāb
apne ghar ke dar-o-dīvār ko kaise chhoḌūñ
ai mere ghar ki fazaon se gurezan mahtab
apne ghar ke dar-o-diwar ko kaise chhoDun
ai 'mus.hafī' turbat kā mirī naam na lenā
gar pūchhe to kahiyo ki hai dargāh kisī kī
ai 'mushafi' turbat ka meri nam na lena
gar puchhe to kahiyo ki hai dargah kisi ki
shaam Dhalne se faqat shaam nahīñ Dhaltī hai
umr Dhal jaatī hai jaldī palaT aanā mire dost
sham Dhalne se faqat sham nahin Dhalti hai
umr Dhal jati hai jaldi palaT aana mere dost
kar rahā thā ġham-e-jahāñ kā hisāb
aaj tum yaad be-hisāb aa.e
kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
aaj tum yaad be-hisab aae
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books