aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
ye dil hai dil ise siine meñ hargiz
kabhī rakhnā na tum patthar banā ke
ye dil hai dil ise sine mein hargiz
kabhi rakhna na tum patthar bana ke
maiñ be-hunar thā magar sohbat-e-hunar meñ rahā
shu.ūr baḳhshā hama-rañg mahfiloñ ne mujhe
main be-hunar tha magar sohbat-e-hunar mein raha
shuur baKHsha hama-rang mahfilon ne mujhe
ik raat dil-jaloñ ko ye aish-e-visāl de
phir chāhe āsmān jahannam meñ Daal de
just one night give these deprived the joy of company
thereafter if you wish merge paradise and purgatory
ek raat dil-jalon ko ye aish-e-visal de
phir chahe aasman jahannam mein Dal de
samjheñge na aġhyār ko aġhyār kahāñ tak
kab tak vo mohabbat ko mohabbat na kaheñge
samjhenge na aghyar ko aghyar kahan tak
kab tak wo mohabbat ko mohabbat na kahenge
rahmat agar qubūl kare kyā ba.iid hai
sharmindagī se uzr na karnā gunāh kā
rahmat agar qubul kare kya baid hai
sharmindagi se uzr na karna gunah ka
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books