aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
dāman se vo poñchhtā hai aañsū
rone kā kuchh aaj hī mazā hai
daman se wo ponchhta hai aansu
rone ka kuchh aaj hi maza hai
ai junūñ phir mire sar par vahī shāmat aa.ī
phir phañsā zulfoñ meñ dil phir vahī aafat aa.ī
ai junun phir mere sar par wahi shamat aai
phir phansa zulfon mein dil phir wahi aafat aai
us ajnabī se haath milāne ke vāste
mahfil meñ sab se haath milānā paḌā mujhe
us ajnabi se hath milane ke waste
mahfil mein sab se hath milana paDa mujhe
tanhā.ī ke lamhāt kā ehsās huā hai
jab tāroñ bharī raat kā ehsās huā hai
tanhai ke lamhat ka ehsas hua hai
jab taron bhari raat ka ehsas hua hai
terī āñkheñ haiñ ki āhū-e-ḳhutan kī āñkheñ
mahv-e-hairat thiiñ javānān-e-chaman kī āñkheñ
teri aankhen hain ki aahu-e-KHutan ki aankhen
mahw-e-hairat thin jawanan-e-chaman ki aankhen
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books