aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
bād-e-tark-e-ārzū baiThā huuñ kaisā mutma.in
ho ga.ī āsāñ har ik mushkil ba-āsānī mirī
baad-e-tark-e-arzu baiTha hun kaisa mutmain
ho gai aasan har ek mushkil ba-asani meri
kal kahte rahe haiñ vahī kal kahte raheñge
har daur meñ ham un pe ġhazal kahte raheñge
kal kahte rahe hain wahi kal kahte rahenge
har daur mein hum un pe ghazal kahte rahenge
sham.a se chāñd sivā chāñd se ḳhurshīd sivā
aur in sab se sivā hai ruḳh-e-anvar terā
shama se chand siwa chand se KHurshid siwa
aur in sab se siwa hai ruKH-e-anwar tera
na niiñd āñkhoñ meñ baaqī na intizār rahā
ye haal thā to koī nek kaam kyā karte
na nind aankhon mein baqi na intizar raha
ye haal tha to koi nek kaam kya karte
is tarah rahbar ne luuTā kārvāñ
ai 'fanā' rahzan ko bhī sadma huā
is tarah rahbar ne luTa karwan
ai 'fana' rahzan ko bhi sadma hua
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books