aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
gul ġhunche āftāb shafaq chāñd kahkashāñ
aisī koī bhī chiiz nahīñ jis meñ tū na ho
gul ghunche aaftab shafaq chand kahkashan
aisi koi bhi chiz nahin jis mein tu na ho
badan gul chehra gul ruḳhsār gul lab gul dahan hai gul
sarāpā ab to vo rashk-e-chaman hai Dher phūloñ kā
badan gul chehra gul ruKHsar gul lab gul dahan hai gul
sarapa ab to wo rashk-e-chaman hai Dher phulon ka
aah! kal tak vo navāzish! aaj itnī be-ruḳhī
kuchh to nisbat chāhiye anjām ko āġhāz se
aah! kal tak wo nawazish! aaj itni be-ruKHi
kuchh to nisbat chahiye anjam ko aaghaz se
shahr ke aa.iin meñ ye mad bhī likkhī jā.egī
zinda rahnā hai to qātil kī sifārish chāhiye
shahr ke aain mein ye mad bhi likkhi jaegi
zinda rahna hai to qatil ki sifarish chahiye
koī ummīd bar nahīñ aatī
koī sūrat nazar nahīñ aatī
no hope is there that now comes to light
nor is there any avenue in sight
koi ummid bar nahin aati
koi surat nazar nahin aati
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books