aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
saaf aatā hai nazar anjām har āġhāz kā
zindagānī maut kī tamhīd hai mere liye
saf aata hai nazar anjam har aaghaz ka
zindagani maut ki tamhid hai mere liye
Tapaknā ashk kā tamhīd hai dīdār kī jaise
tulū-e-mahr se pahle sitāra sub.h-dam nikle
Tapakna ashk ka tamhid hai didar ki jaise
tulu-e-mahr se pahle sitara subh-dam nikle
shikast-e-tauba kī tamhīd hai tirī tauba
zabāñ pe tauba 'mubārak' nigāh sāġhar par
shikast-e-tauba ki tamhid hai teri tauba
zaban pe tauba 'mubarak' nigah saghar par
reḳhte ke tumhīñ ustād nahīñ ho 'ġhālib'
kahte haiñ agle zamāne meñ koī 'mīr' bhī thā
reKHte ke tumhin ustad nahin ho 'ghaalib'
kahte hain agle zamane mein koi 'mir' bhi tha
ye mere ishq kī majbūriyāñ ma.āz-allāh
tumhārā raaz tumhīñ se chhupā rahā huuñ maiñ
ye mere ishq ki majburiyan maaz-allah
tumhaara raaz tumhin se chhupa raha hun main
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books