aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
bāġhbāñ ne aag dī jab āshiyāne ko mire
jin pe takiya thā vahī patte havā dene lage
baghban ne aag di jab aashiyane ko mere
jin pe takiya tha wahi patte hawa dene lage
pyaas kahtī hai chalo ret nichoḌī jaa.e
apne hisse meñ samundar nahīñ aane vaalā
pyas kahti hai chalo ret nichoDi jae
apne hisse mein samundar nahin aane wala
na jaane kyuuñ adhūrī hī mujhe tasvīr jachtī hai
maiñ kāġhaz haath meñ lekar faqat chehra banātā huuñ
na jaane kyun adhuri hi mujhe taswir jachti hai
main kaghaz hath mein lekar faqat chehra banata hun
bikharte ḳhvāboñ se ta.abīr ke dhuñdlakoñ tak
muhājrat ne kachoke bahut lagā.e haiñ
bikharte KHwabon se tabir ke dhundlakon tak
muhajrat ne kachoke bahut lagae hain
biThā ke sāmne tum ko bahār meñ pī hai
tumhāre riñd ne tauba bhī rū-ba-rū kar lī
biTha ke samne tum ko bahaar mein pi hai
tumhaare rind ne tauba bhi ru-ba-ru kar li
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books