aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
us ne majbūr-e-vafā jaan ke muñh pher liyā
mujh se ye bhuul huī pūchh liyā kaise ho
us ne majbur-e-wafa jaan ke munh pher liya
mujh se ye bhul hui puchh liya kaise ho
ham kisī dar pe na ThiTke na kahīñ dastak dī
saikḌoñ dar the mirī jaañ tire dar se pahle
hum kisi dar pe na ThiTke na kahin dastak di
saikDon dar the meri jaan tere dar se pahle
maiñ āñdhiyoñ ke paas talāsh-e-sabā meñ huuñ
tum mujh se pūchhte ho mirā hausla hai kyā
main aandhiyon ke pas talash-e-saba mein hun
tum mujh se puchhte ho mera hausla hai kya
diye haiñ zindagī ne zaḳhm aise
ki jin kā vaqt bhī marham nahīñ hai
diye hain zindagi ne zaKHm aise
ki jin ka waqt bhi marham nahin hai
hazār ruḳh tire milne ke haiñ na milne meñ
kise firāq kahūñ aur kise visāl kahūñ
hazar ruKH tere milne ke hain na milne mein
kise firaq kahun aur kise visal kahun
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books