aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
yuuñ na murjhā ki mujhe ḳhud pe bharosa na rahe
pichhle mausam meñ tire saath khilā huuñ maiñ bhī
yun na murjha ki mujhe KHud pe bharosa na rahe
pichhle mausam mein tere sath khila hun main bhi
aaj phir shānoñ pe bikhrī zulf hai allāh ḳhair
lag rahā hai aaj phir ahd-e-baġhāvat kar liyā
aaj phir shanon pe bikhri zulf hai allah KHair
lag raha hai aaj phir ahd-e-baghawat kar liya
jin ke lahū se dāman-e-sahrā hai lāla-rang
ai nargis-e-chaman tire bīmār vo bhī haiñ
jin ke lahu se daman-e-sahra hai lala-rang
ai nargis-e-chaman tere bimar wo bhi hain
sunā thā ham ne ki aa rahe ho tum apne ghar se nikal paḌe ho
tumhāre aane se pahle pahle hī rāste ko sajā diyā hai
suna tha hum ne ki aa rahe ho tum apne ghar se nikal paDe ho
tumhaare aane se pahle pahle hi raste ko saja diya hai
ḳhvāb muTThī meñ liye phirte haiñ sahrā sahrā
ham vahī log haiñ jo dhuup ke par kāTte haiñ
KHwab muTThi mein liye phirte hain sahra sahra
hum wahi log hain jo dhup ke par kaTte hain
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books