aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
dīdār se pahle hī kyā haal huā dil kā
kyā hogā jo ulTeñge vo ruḳh se naqāb āḳhir
didar se pahle hi kya haal hua dil ka
kya hoga jo ulTenge wo ruKH se naqab aaKHir
maut ḳhāmoshī hai chup rahne se chup lag jā.egī
zindagī āvāz hai bāteñ karo bāteñ karo
maut KHamoshi hai chup rahne se chup lag jaegi
zindagi aawaz hai baaten karo baaten karo
jis kā inkār hathelī pe liye phirtā huuñ
jāntā hī nahīñ inkār kā matlab kyā hai
jis ka inkar hatheli pe liye phirta hun
jaanta hi nahin inkar ka matlab kya hai
bas ek shaam kā har shaam intizār rahā
magar vo shaam kisī shaam bhī nahīñ aa.ī
bas ek sham ka har sham intizar raha
magar wo sham kisi sham bhi nahin aai
ik roz ik nadī ke kināre mileñge ham
ik dūsre se apnā patā pūchhte hue
ek roz ek nadi ke kinare milenge hum
ek dusre se apna pata puchhte hue
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books