aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
pahle insāf se sun leñ mirī do do bāteñ
tab gunahgār kaheñ shaiḳh o barhaman mujh ko
pahle insaf se sun len meri do do baaten
tab gunahgar kahen shaiKH o barhaman mujh ko
judā hue to judā.ī meñ ye kamāl bhī thā
ki us se rābta TuuTā bhī thā bahāl bhī thā
juda hue to judai mein ye kamal bhi tha
ki us se rabta TuTa bhi tha bahaal bhi tha
raat paḌte hī har ik roz ubhar aatī hai
kis ke rone kī sadā zaat ke sannāTe meñ
raat paDte hi har ek roz ubhar aati hai
kis ke rone ki sada zat ke sannaTe mein
aaj bhī naqsh haiñ dil par tirī aahaT ke nishāñ
ham ne us raah se auroñ ko guzarne na diyā
aaj bhi naqsh hain dil par teri aahaT ke nishan
hum ne us rah se auron ko guzarne na diya
tamām umr tire intizār meñ hamdam
ḳhizāñ-rasīda rahā huuñ bahār kar mujh ko
tamam umr tere intizar mein hamdam
KHizan-rasida raha hun bahaar kar mujh ko
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books