aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
rahtā hai kaleje meñ nihāñ dard-e-mohabbat
ye choT vo hai jis ko ubharnā nahīñ aatā
rahta hai kaleje mein nihan dard-e-mohabbat
ye choT wo hai jis ko ubharna nahin aata
haañ samundar meñ utar lekin ubharne kī bhī soch
Dūbne se pahle gahrā.ī kā andāza lagā
han samundar mein utar lekin ubharne ki bhi soch
Dubne se pahle gahrai ka andaza laga
kabhī dīvār ko tarse kabhī dar ko tarse
ham hue ḳhāna-ba-dosh aise ki ghar ko tarse
kabhi diwar ko tarse kabhi dar ko tarse
hum hue KHana-ba-dosh aise ki ghar ko tarse
ye kis maqām pe tanhā.ī sauñpte ho mujhe
ki ab to tark-e-tamannā kā hausla bhī nahīñ
ye kis maqam pe tanhai saunpte ho mujhe
ki ab to tark-e-tamanna ka hausla bhi nahin
zindagī kā har ik ġham uThāte hue
maiñ sañbhalne lagā laḌkhaḌāte hue
zindagi ka har ek gham uThate hue
main sanbhalne laga laDkhaDate hue
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books