aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
tamām umr ḳhushī kī talāsh meñ guzrī
tamām umr taraste rahe ḳhushī ke liye
tamam umr KHushi ki talash mein guzri
tamam umr taraste rahe KHushi ke liye
is ko na sochiye ki sitam yā karam huā
ḳhanjar uThā.iye sar-e-taslīm ḳham huā
is ko na sochiye ki sitam ya karam hua
KHanjar uThaiye sar-e-taslim KHam hua
tirā ḳhayāl mire dil meñ kaise ghar kartā
tirā ḳhayāl mirī vahshatoñ se aage hai
tera KHayal mere dil mein kaise ghar karta
tera KHayal meri wahshaton se aage hai
chhup jaa.eñ kahīñ aa ki bahut tez hai bārish
ye mere tire jism to miTTī ke bane haiñ
chhup jaen kahin aa ki bahut tez hai barish
ye mere tere jism to miTTi ke bane hain
ye ek abr kā TukḌā kahāñ kahāñ barse
tamām dasht hī pyāsā dikhā.ī detā hai
ye ek abr ka TukDa kahan kahan barse
tamam dasht hi pyasa dikhai deta hai
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books