aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
aarzū kī ye sazā hai ki zamāna hai ḳhilāf
un se milne kī ḳhudā jaane sazā kyā hogī
aarzu ki ye saza hai ki zamana hai KHilaf
un se milne ki KHuda jaane saza kya hogi
ye intizār kī ghaḌiyāñ ye shab kā sannāTā
is ek shab meñ bhare haiñ hazār saal ke din
ye intizar ki ghaDiyan ye shab ka sannaTa
is ek shab mein bhare hain hazar sal ke din
tum to sardī kī hasīñ dhuup kā chehra ho jise
dekhte rahte haiñ dīvār se jaate hue ham
tum to sardi ki hasin dhup ka chehra ho jise
dekhte rahte hain diwar se jate hue hum
karte haiñ arbāb-e-dil andāza-e-josh-e-bahār
merā dāman dekh kar merā garebāñ dekh kar
karte hain arbab-e-dil andaza-e-josh-e-bahaar
mera daman dekh kar mera gareban dekh kar
bulā ke baat bhī kī aur muskurā bhī diyā
kiyā shahīd bhī qātil ne ḳhūñ-bahā bhī diyā
bula ke baat bhi ki aur muskura bhi diya
kiya shahid bhi qatil ne KHun-baha bhi diya
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books