aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
maiñ lauTne ke irāde se jā rahā huuñ magar
safar safar hai mirā intizār mat karnā
intent on returning
a journey is a journey so do not wait for me
main lauTne ke irade se ja raha hun magar
safar safar hai mera intizar mat karna
shaam ko jis vaqt ḳhālī haath ghar jaatā huuñ maiñ
muskurā dete haiñ bachche aur mar jaatā huuñ maiñ
sham ko jis waqt KHali hath ghar jata hun main
muskura dete hain bachche aur mar jata hun main
ehsās-e-jurm jaan kā dushman hai 'ja.afarī'
hai jism taar taar sazā ke baġhair bhī
ehsas-e-jurm jaan ka dushman hai 'jafari'
hai jism tar tar saza ke baghair bhi
sub.h ko khul jā.egā donoñ meñ kyā yārāna hai
sham.a parvāna kī hai yā sham.a kā parvāna hai
subh ko khul jaega donon mein kya yarana hai
shama parwana ki hai ya shama ka parwana hai
kuchh der mere ghar se bahāreñ ḳhafā rahīñ
lekin mujhe gulāb koī bhejtā rahā
kuchh der mere ghar se bahaaren KHafa rahin
lekin mujhe gulab koi bhejta raha
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books