aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1967 | United Kingdom
ab māñgne pe chhāoñ bhī dete nahīñ mujhe
paude jo apne ḳhuun se maiñ sīñchtā rahā
ab mangne pe chhaon bhi dete nahin mujhe
paude jo apne KHun se main sinchta raha
jo kahtā thā tire bin mar rahā huuñ
vo kaise jī rahā hai sochtā huuñ
jo kahta tha tere bin mar raha hun
wo kaise ji raha hai sochta hun
kāñToñ meñ qaid phuul se girne se peshtar
shabnam kā qatra der talak kāñptā rahā
kanTon mein qaid phul se girne se peshtar
shabnam ka qatra der talak kanpta raha
kuchh der mere ghar se bahāreñ ḳhafā rahīñ
lekin mujhe gulāb koī bhejtā rahā
kuchh der mere ghar se bahaaren KHafa rahin
lekin mujhe gulab koi bhejta raha
so ga.e haiñ phuul bhī Tahnī kā jhūlā jhūlte
loriyāñ koī sunā.e shaam peḌoñ ke tale
so gae hain phul bhi Tahni ka jhula jhulte
loriyan koi sunae sham peDon ke tale
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books