aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
kunj-e-qafas hī jis kā muqaddar huā 'jamīl'
us kī nazar meñ daur-e-ḳhizāñ kyā bahār kyā
kunj-e-qafas hi jis ka muqaddar hua 'jamil'
us ki nazar mein daur-e-KHizan kya bahaar kya
kahte haiñ umr-e-rafta kabhī lauTtī nahīñ
jā mai-kade se merī javānī uThā ke lā
tis said this fleeting life once gone never returns
go to the tavern and bring back my youth again
kahte hain umr-e-rafta kabhi lauTti nahin
ja mai-kade se meri jawani uTha ke la
maiñ apnī ḳhushiyāñ akele manāyā kartā huuñ
yahī vo ġham hai jo tujh se chhupā huā hai mirā
main apni KHushiyan akele manaya karta hun
yahi wo gham hai jo tujh se chhupa hua hai mera
abr-e-bahār bād-e-sabā apnī raah leñ
majnūñ ko kā.enāt kisī kaam kī nahīñ
abr-e-bahaar baad-e-saba apni rah len
majnun ko kaenat kisi kaam ki nahin
dīdanī hai tire itaab kā rañg
shīsha-e-chashm meñ sharāb kā rañg
didani hai tere itab ka rang
shisha-e-chashm mein sharab ka rang
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books