aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
batā rahā hai jhaTaknā tirī kalā.ī kā
zarā bhī ranj nahīñ hai tujhe judā.ī kā
bata raha hai jhaTakna teri kalai ka
zara bhi ranj nahin hai tujhe judai ka
samar daraḳht se girte haiñ ham nigāhoñ se
kahīñ kashish kā 'amal hai kahīñ gurez kā hai
samar daraKHt se girte hain hum nigahon se
kahin kashish ka 'amal hai kahin gurez ka hai
biThā ke sāmne tum ko bahār meñ pī hai
tumhāre riñd ne tauba bhī rū-ba-rū kar lī
biTha ke samne tum ko bahaar mein pi hai
tumhaare rind ne tauba bhi ru-ba-ru kar li
apnī hī teġh-e-adā se aap ghāyal ho gayā
chāñd ne paanī meñ dekhā aur pāgal ho gayā
apni hi tegh-e-ada se aap ghayal ho gaya
chand ne pani mein dekha aur pagal ho gaya
apne markaz kī taraf mā.il-e-parvāz thā husn
bhūltā hī nahīñ aalam tirī añgḌā.ī kā
apne markaz ki taraf mail-e-parwaz tha husn
bhulta hi nahin aalam teri angDai ka
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books