Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Arshi Bhopali's Photo'

Arshi Bhopali

1921 - 1977 | Bhopal, India

Arshi Bhopali

Ghazal 15

Sher-o-Shayari 6

nigāh-e-nāz māsūmiyat are tauba

jo ham fareb na khāte to aur kyā karte

nigah-e-naz ki masumiyat are tauba

jo hum fareb na khate to aur kya karte

bahut aziiz na kyuuñ ho ki dard hai terā

ye dard baḌh ke rahā iztirāb ho ke rahā

bahut aziz na kyun ho ki dard hai tera

ye dard baDh ke raha iztirab ho ke raha

hameñ to apnī tabāhī daad bhī na milī

tirī navāzish-e-bejā kyā gilā karte

hamein to apni tabahi ki dad bhi na mili

teri nawazish-e-beja ka kya gila karte

mauqūf fasl-e-gul pe nahīñ raunaq-e-chaman

nazreñ javān hoñ to ḳhizāñ bhī bahār hai

mauquf fasl-e-gul pe nahin raunaq-e-chaman

nazren jawan hon to KHizan bhi bahaar hai

  • Share this

ajiib chiiz hai ye shauq-e-ārzū-mandī

hayāt miT ke rahī dil ḳharāb ho ke rahā

ajib chiz hai ye shauq-e-arzu-mandi

hayat miT ke rahi dil KHarab ho ke raha

BOOKS 1

 

More Artists From "Bhopal"

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now