Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shoaib Nizam's Photo'

Shoaib Nizam

Kanpur, India

Prominent post-modern poet.

Prominent post-modern poet.

Sher of Shoaib Nizam

122
Favorite

SORT BY

itnā nuur kahāñ se lā.ūñ tārīkī ke is jañgal meñ

do jugnū paas the apne jin ko sitāra kar rakkhā hai

itna nur kahan se laun tariki ke is jangal mein

do jugnu hi pas the apne jin ko sitara kar rakkha hai

kyā ḳhatm na hogī kabhī sahrā hukūmat

raste meñ kahīñ to dar-o-dīvār bhī aa.e

kya KHatm na hogi kabhi sahra ki hukumat

raste mein kahin to dar-o-diwar bhi aae

ye ek saaya ġhanīmat hai rok lo varna

ye raushnī ke badan se lipaTne vaalā hai

ye ek saya ghanimat hai rok lo warna

ye raushni ke badan se lipaTne wala hai

tumhāre ḳhvāb lauTāne pe sharminda to haiñ lekin

kahāñ tak itne ḳhvāboñ nigahbānī kareñge ham

tumhaare KHwab lauTane pe sharminda to hain lekin

kahan tak itne KHwabon ki nigahbani karenge hum

miyāñ bāzār ko sharminda karnā kyā zarūrī hai

kahīñ is daur meñ tahzīb ke zevar badalte haiñ

miyan bazar ko sharminda karna kya zaruri hai

kahin is daur mein tahzib ke zewar badalte hain

mirī talāsh meñ vo bhī zarūr aa.egā

so maiñ bhī chashm-e-ḳharīdār se nikaltā huuñ

meri talash mein wo bhi zarur aaega

so main bhi chashm-e-KHaridar se nikalta hun

tujhe shanāḳht nahīñ hai mire lahū kyā

maiñ roz sub.h ke aḳhbār se nikaltā huuñ

tujhe shanaKHt nahin hai mere lahu ki kya

main roz subh ke aKHbar se nikalta hun

mirī talāsh meñ us paar log jaate haiñ

magar maiñ Duub ke is paar se nikaltā huuñ

meri talash mein us par log jate hain

magar main Dub ke is par se nikalta hun

kidhar Dubo ke kahāñ par ubhārtā hai

ye kaisā rañg hai dariyā tirī ravānī

kidhar Dubo ke kahan par ubhaarta hai tu

ye kaisa rang hai dariya teri rawani ka

ḳhud se farār itnā āsān bhī nahīñ hai

saa.e kareñge pīchhā koī kahīñ se nikle

KHud se farar itna aasan bhi nahin hai

sae karenge pichha koi kahin se nikle

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now