Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abu Mohammad Wasil Bahraichi's Photo'

Abu Mohammad Wasil Bahraichi

1922 - 2018 | Bahraich, India

Abu Mohammad Wasil Bahraichi

Ghazal 10

Sher-o-Shayari 17

hamārī laash gulistāñ meñ dafn kar sayyād

chaman se duur koī nauha-ḳhvāñ rahe na rahe

hamari lash gulistan mein dafn kar sayyaad

chaman se dur koi nauha-KHwan rahe na rahe

hañsā karte haiñ akasr log dīvānoñ bātoñ par

jahāñ vaale nahīñ samjhe mohabbat zabāñ shāyad

hansa karte hain akasr log diwanon ki baaton par

jahan wale nahin samjhe mohabbat ki zaban shayad

kārvāñ ishq manzil ke qarīñ aa pahūñchā

ḳhud mire dil meñ mire dil makīñ aa pahūñchā

karwan ishq ki manzil ke qarin aa pahuncha

KHud mere dil mein mere dil ka makin aa pahuncha

mujhe vo bātoñ bātoñ meñ agar dīvāna kah dete

to dīvānoñ meñ merī mo'atabar dīvāngī hotī

mujhe wo baaton baaton mein agar diwana kah dete

to diwanon mein meri mo'atabar diwangi hoti

rāh-e-vafā meñ ke mare mar ke bhī jiye

khelā usī tarah se kiye zindagī se ham

rah-e-wafa mein ji ke mare mar ke bhi jiye

khela usi tarah se kiye zindagi se hum

More Authors From "Bahraich"

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now