aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Anis Dehlavi's Photo'

Anis Dehlavi

1930 | Delhi, India

Journalist, Poet, Storyteller & Editor of 'Filmi Sitare'. Who played several roles in Urdu Plays including Khwaja Ahmad Abbas movie ‘Pardesi’

Journalist, Poet, Storyteller & Editor of 'Filmi Sitare'. Who played several roles in Urdu Plays including Khwaja Ahmad Abbas movie ‘Pardesi’

Anis Dehlavi

Ghazal 7

Sher-o-Shayari 11

jo dil bāñdhe vo jaadū jāntā hai

mirā mahbūb urdu jāntā hai

jo dil bandhe wo jadu jaanta hai

mera mahbub urdu jaanta hai

aap koī safar be-samt be-manzil na ho

zindagī aisī na jiinā jis mustaqbil na ho

aap ka koi safar be-samt be-manzil na ho

zindagi aisi na jina jis ka mustaqbil na ho

us bevafā pe marne ko āmāda dil nahīñ

lekin vafā zid hai ki mar jaanā chāhiye

us bewafa pe marne ko aamada dil nahin

lekin wafa ki zid hai ki mar jaana chahiye

chhīn liiñ ḳhushiyāñ mirī āñkhoñ se merī niiñd bhī

zindagī ne mujhe ab tak diyā kuchh bhī nahīñ

chhin lin KHushiyan meri aankhon se meri nind bhi

zindagi tu ne mujhe ab tak diya kuchh bhi nahin

kaisā ajiib vaqt hai koī bhī ham-safar nahīñ

dhuup bhī mo'tabar nahīñ saaya bhī mo'tabar nahīñ

kaisa ajib waqt hai koi bhi ham-safar nahin

dhup bhi mo'tabar nahin saya bhi mo'tabar nahin

BOOKS 25

More Authors From "Delhi"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now