Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Rahman Ali Joiya's Photo'

Rahman Ali Joiya

Pakpattan, Pakistan

Urdu o Punjabi ke shair, afsana-nigar aur novel-navees hain.

Urdu o Punjabi ke shair, afsana-nigar aur novel-navees hain.

Profile of Rahman Ali Joiya

Real Name : Rahman Ali Joiya

Born :Pakpattan, Punjab

Rahman Ali Joiya ka ta'alluq Tehsil Arifwala, Zila Pakpattan se hai. Peshe ke aitibar se woh sarkari umoor ki anjaam-dehi se wabasta hain, lekin unki asal wabastagi adab se hai. Unka adabi safar ladakpan hi mein shuru ho gaya tha, jab unhon ne apne ird-gird ke halaat aur muashrati rawaiyon ko gehrai se mehsoos karke unhen lafzon ka roop dena shuru kiya.

Rahman Ali Joiya Urdu aur Punjabi dono zabanon mein ghazal, nazm aur geet ke saath-saath afsana aur novel bhi likhte hain. Unki aham tasaneef mein ‘Khamosh Cheekhein’, ‘Faiz-e-Girya’, ‘Aaj ka Manto’ aur ‘Raakh ke Phool’ shamil hain.

Unke nazdeek adab mahaz lafzi baazigari nahin, balki muashre ki talkh haqeeqaton ka bebaak aaina hai. Unka qalam un logon ki awaaz banne ki koshish karta hai jin ki cheekhein daba di gayi hain aur jin ke dukhon ko nazarandaz kar diya gaya hai. Muashrati munaafiqat, jabr aur insani almiye ko be-laag andaaz mein bayan karna unki adabi fikr ka numayan wasf hai.

Tagged Under

Recitation

Speak Now