Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aarzu jine ki thi imkan jine ka na tha

Siddique Mujibi

aarzu jine ki thi imkan jine ka na tha

Siddique Mujibi

MORE BYSiddique Mujibi

    aarzū jiine thī imkān jiine na thā

    ḳhvāhisheñ thiiñ saf-ba-saf sāmān jiine na thā

    qarz thā terā so jīte-jī tujhe lauTā diyā

    zindagī varna mujhe armān jiine na thā

    dostī zahrāb se ranj-o-ġham se nibāh

    varna ye māhaul merī jaan jiine na thā

    zindagī chhoḌ merā saath maiñ be-zār huuñ

    merā terā to koī paimān jiine na thā

    maiñ ne hañsne aziyyat jhel royā nahīñ

    ye salīqa bhī koī āsān jiine na thā

    kuchh tirī rahmat pe takiya kuchh gunāhoñ kashish

    varna us duniyā meñ to insān jiine na thā

    zehn āvārgī minnat-kash-e-duniyā na thī

    zindagī bhī 'mujībī' dhyān jiine na thā

    aarzu jine ki thi imkan jine ka na tha

    KHwahishen thin saf-ba-saf saman jine ka na tha

    qarz tha tera so jite-ji tujhe lauTa diya

    zindagi warna mujhe arman jine ka na tha

    dosti zahrab se ki ranj-o-gham se ki nibah

    warna ye mahaul meri jaan jine ka na tha

    zindagi tu chhoD mera sath main be-zar hun

    mera tera to koi paiman jine ka na tha

    main ne hansne ki aziyyat jhel li roya nahin

    ye saliqa bhi koi aasan jine ka na tha

    kuchh teri rahmat pe takiya kuchh gunahon ki kashish

    warna us duniya mein to insan jine ka na tha

    zehn ki aawargi minnat-kash-e-duniya na thi

    zindagi ka bhi 'mujibi' dhyan jine ka na tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now