Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab yahi ranj-e-be-dili mujhko miTae ya banae

Sahar Ansari

ab yahi ranj-e-be-dili mujhko miTae ya banae

Sahar Ansari

MORE BYSahar Ansari

    ab yahī rañj-e-be-dilī mujh ko miTā.e banā.e

    laakh vo mehrbāñ sahī us taraf bhī kaun jaa.e

    rūThe hue vajūd bhī dard-e-anā se kam nahīñ

    kyuuñ maiñ kisī ke naaz uThā.ūñ mujh ko bhī koī kyuuñ manā.e

    sāya-e-qurb meñ mileñ aa vahī donoñ vaqt phir

    hoñT pe sub.h jagmagā.e aañkh meñ shaam muskurā.e

    din ko dayār-e-dīd meñ vus.at-e-lams se gurez

    shab ko hisār-e-chashm meñ ḳhud misl-e-ḳhvāb aa.e

    ḳhatm haiñ vāqi.āt bhī ziist vārdāt bhī

    ab vo jhukī jhukī nazar ḳhud koī dāstāñ sunā.e

    mūnis-e-ḳhalvat-e-vafā aaj bhī hai vo dil ki jo

    sham.a lau meñ thartharā.e chāñd ke saath Duub jaa.e

    maut ke ba.ad ziist bahs meñ mubtalā the log

    ham to 'sahar' guzar ga.e tohmat-e-zindagī uThā.e

    ab yahi ranj-e-be-dili mujh ko miTae ya banae

    lakh wo mehrban sahi us ki taraf bhi kaun jae

    ruThe hue wajud bhi dard-e-ana se kam nahin

    kyun main kisi ke naz uThaun mujh ko bhi koi kyun manae

    saya-e-qurb mein milen aa wahi donon waqt phir

    honT pe subh jagmagae aankh mein sham muskurae

    din ko dayar-e-did mein wusat-e-lams se gurez

    shab ko hisar-e-chashm mein KHud hi misl-e-KHwab aae

    KHatm hain waqiat bhi zist ki wardat bhi

    ab wo jhuki jhuki nazar KHud koi dastan sunae

    munis-e-KHalwat-e-wafa aaj bhi hai wo dil ki jo

    shama ki lau mein thartharae chand ke sath Dub jae

    maut ke baad zist ki bahs mein mubtala the log

    hum to 'sahar' guzar gae tohmat-e-zindagi uThae

    Source:

    namuud (Pg. 85)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now