Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agarche hadse guzre hain paniyon ki tarah

Kaif Ansari

agarche hadse guzre hain paniyon ki tarah

Kaif Ansari

MORE BYKaif Ansari

    agarche hādse guzre haiñ pāniyoñ tarah

    ḳhamosh rah ga.e ham log sāhiloñ tarah

    kisī ke sāmne maiñ kis liye zabāñ kholūñ

    milī hai apnī anā mujh ko dushmanoñ tarah

    tire baġhair nazar aa.e haiñ mujhe aksar

    makān ke dar-o-dīvār qātiloñ tarah

    na jaane kaun manzil ko chal diye patte

    bhaTak rahī haiñ havā.eñ musāfiroñ tarah

    hamīñ ne khol ke lab ruuh phūñk varna

    tamām harf the be-jān pattharoñ tarah

    maiñ ro rahā thā shab-e-ġham zulmatoñ se bahut

    ḳhudā shukr jale zaḳhm mish.aloñ tarah

    yahī to 'kaif' hasad hai ki dil bhī yāroñ ke

    siyāh ho ga.e likkhe hue ḳhatoñ tarah

    agarche hadse guzre hain paniyon ki tarah

    KHamosh rah gae hum log sahilon ki tarah

    kisi ke samne main kis liye zaban kholun

    mili hai apni ana mujh ko dushmanon ki tarah

    tere baghair nazar aae hain mujhe aksar

    makan ke dar-o-diwar qatilon ki tarah

    na jaane kaun si manzil ko chal diye patte

    bhaTak rahi hain hawaen musafiron ki tarah

    hamin ne khol ke lab ruh phunk di warna

    tamam harf the be-jaan pattharon ki tarah

    main ro raha tha shab-e-gham ki zulmaton se bahut

    KHuda ka shukr jale zaKHm mishalon ki tarah

    yahi to 'kaif' hasad hai ki dil bhi yaron ke

    siyah ho gae likkhe hue KHaton ki tarah

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 648)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now