Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum zamin ka aatishin ubhaar dekhte rahe

Quaiser Khalid

hum zamin ka aatishin ubhaar dekhte rahe

Quaiser Khalid

MORE BYQuaiser Khalid

    ham zamīñ ātishīñ ubhār dekhte rahe

    sahme sahme se bas ġhubār dekhte rahe

    shohrateñ, ye daulateñ, ye masnadeñ, milīñ pa ham

    be-niyāz rahe, hazār dekhte rahe

    āḳhirash zamāna un ko chhoḌ aage baḌh gayā

    har qadam jo izzat-o-vaqār dekhte rahe

    un ko phir amaañ kahāñ nasīb honī thii, ki jo

    har maqām se rah-e-farār dekhte rahe

    ek ek kar ke qatl ho rahī thī phir bhī ham

    apnī ḳhvāhishoñ ik qatār dekhte rahe

    hai muhāfiz-e-chaman mujrimāna taur ye

    nuch ga.ī kalī kalī pa ḳhaar dekhte rahe

    sab siyāh thā kahīñ na sab safed, phir bhī ham

    lail dekhte rahe, nahār dekhte rahe

    bāhar apne ḳhol se na aa sake tamām umr

    ham darūn-e-zāt ḳhalfashār dekhte rahe

    hausla na kāvisheñ, amal na rabt-e-āsmāñ

    ham ki hasratoñ ik mazār dekhte rahe

    āftāb o kahkashāñ, ye chāñd, taare duur se

    raushnī bil-yaqīñ madār dekhte rahe

    ab gila hai kyuuñ madad āsmāñ se, jab ki ham

    kāyar aise the ki ḳhud pe vaar dekhte rahe

    tere bin hayāt soch bhī gunāh thī

    ham qarīb-e-jāñ tirā hisār dekhte rahe

    dūsroñ ke haq vo laḌā.ī laḌ sakeñge kyā

    vo jo apne aap ko bhī ḳhvār dekhte rahe

    'ḳhālid' aise bhī to haiñ kināre baiTh kar jo

    bahar meñ chaḌhāv aur utaar dekhte rahe

    hum zamin ka aatishin ubhaar dekhte rahe

    sahme sahme se hi bas ghubar dekhte rahe

    shohraten, ye daulaten, ye masnaden, milin pa hum

    be-niyaz hi rahe, hazar dekhte rahe

    aaKHirash zamana un ko chhoD aage baDh gaya

    har qadam jo izzat-o-waqar dekhte rahe

    un ko phir aman kahan nasib honi thi, ki jo

    har maqam se rah-e-farar dekhte rahe

    ek ek kar ke qatl ho rahi thi phir bhi hum

    apni KHwahishon ki ek qatar dekhte rahe

    hai muhafiz-e-chaman ka mujrimana taur ye

    nuch gai kali kali pa KHar dekhte rahe

    sab siyah tha kahin na sab safed, phir bhi hum

    lail dekhte rahe, nahaar dekhte rahe

    bahar apne KHol se na aa sake tamam umr

    hum darun-e-zat KHalfashaar dekhte rahe

    hausla na kawishen, amal na rabt-e-asman

    hum ki hasraton ka ek mazar dekhte rahe

    aaftab o kahkashan, ye chand, tare dur se

    raushni ka bil-yaqin madar dekhte rahe

    ab gila hai kyun madad ka aasman se, jab ki hum

    kayar aise the ki KHud pe war dekhte rahe

    tere bin hayat ki soch bhi gunah thi

    hum qarib-e-jaan tera hisar dekhte rahe

    dusron ke haq ki wo laDai laD sakenge kya

    wo jo apne aap ko bhi KHwar dekhte rahe

    'KHalid' aise bhi to hain kinare baiTh kar hi jo

    bahar mein chaDhaw aur utar dekhte rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now