Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek qissa-e-tawil hai afsana dasht ka

Hasan Aziz

ek qissa-e-tawil hai afsana dasht ka

Hasan Aziz

MORE BYHasan Aziz

    ik qissa-e-tavīl hai afsāna dasht

    āḳhir kahīñ to ḳhatm ho vīrāna dasht

    mujh ko bhī ġharq bahr-e-tamāsha meñ kar diyā

    ab had se baḌhtā jaatā hai dīvāna dasht

    tāvīz-e-āb ke sivā chāra nahīñ koī

    āseb-e-tishnagī se hai yārāna dasht

    ne shikast khaa.ī mahāz-e-qayām par

    ab sikka-e-safar meñ de harjāna dasht

    hotā nahīñ jo ḳhālī kabhī jām-e-āftāb

    din bhar garm rahtā hai mai-ḳhāna dasht

    ab zulmatoñ ḳhauf nahīñ ḳhāk-e-shahr

    raushan hai sham-e-reg se kāshāna dasht

    ādāb-e-munsifī se maiñ vāqif nahīñ 'hasan'

    shahr-e-ḳhatā meñ kartā huuñ jurmāna dasht

    ek qissa-e-tawil hai afsana dasht ka

    aaKHir kahin to KHatm ho virana dasht ka

    mujh ko bhi gharq bahr-e-tamasha mein kar diya

    ab had se baDhta jata hai diwana dasht ka

    tawiz-e-ab ke siwa chaara nahin koi

    aaseb-e-tishnagi se hai yarana dasht ka

    tu ne shikast khai mahaz-e-qayam par

    ab sikka-e-safar mein de harjaana dasht ka

    hota nahin jo KHali kabhi jam-e-aftab

    din bhar hi garm rahta hai mai-KHana dasht ka

    ab zulmaton ka KHauf nahin KHak-e-shahr ki

    raushan hai sham-e-reg se kashana dasht ka

    aadab-e-munsifi se main waqif nahin 'hasan'

    shahr-e-KHata mein karta hun jurmana dasht ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now