jaan hi lene ki hikmat mein taraqqi dekhi
jaan hī lene kī hikmat meñ taraqqī dekhī
maut kā rokne vaalā koī paidā na huā
koī hasrat mire dil meñ kabhī aa.ī hī nahīñ
thā hī aisā ki ye maqbūl-e-tamannā na huā
us kī beTī ne uThā rakkhī hai duniyā sar par
ḳhairiyat guzrī ki angūr ke beTā na huā
dil-farebī mirī duniyā ne to behad chāhī
merī hī himmat-o-ġhairat kā taqāza na huā
jaan hi lene ki hikmat mein taraqqi dekhi
maut ka rokne wala koi paida na hua
koi hasrat mere dil mein kabhi aai hi nahin
tha hi aisa ki ye maqbul-e-tamanna na hua
us ki beTi ne uTha rakkhi hai duniya sar par
KHairiyat guzri ki angur ke beTa na hua
dil-farebi meri duniya ne to behad chahi
meri hi himmat-o-ghairat ka taqaza na hua
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 72)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.