Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhulaste lamhon ka lams le kar main chal raha hun

Khaleel Mamoon

jhulaste lamhon ka lams le kar main chal raha hun

Khaleel Mamoon

MORE BYKhaleel Mamoon

    jhulaste lamhoñ lams le kar maiñ chal rahā huuñ

    ḳhud apnī dozaḳh aag khā kar maiñ pal rahā huuñ

    safar rūdād bhī mirī kuchh ajiib hai

    maiñ aḳhzarī pahāḌiyoñ se gir kar sambhal rahā huuñ

    mirā vajūd o adam bhī ik hādsa nayā hai

    maiñ dafn huuñ kahīñ kahīñ se nikal rahā huuñ

    chitā bujhā de koī koī asthiyāñ bahā de

    maiñ aarzū meñ sahar sadiyoñ se jal rahā huuñ

    samundaroñ svaad merī zabān par hai

    maiñ sūñgh kar machhliyoñ ḳhushbū machal rahā huuñ

    nahīñ hai 'māmūn' saath mere yahāñ pe koī

    akelā zindagī rāhoñ pe chal rahā huuñ

    jhulaste lamhon ka lams le kar main chal raha hun

    KHud apni dozaKH ki aag kha kar main pal raha hun

    safar ki rudad bhi meri kuchh ajib si hai

    main aKHzari pahaDiyon se gir kar sambhal raha hun

    mera wajud o adam bhi ek hadsa naya hai

    main dafn hun kahin kahin se nikal raha hun

    chita bujha de koi koi asthiyan baha de

    main aarzu mein sahar ki sadiyon se jal raha hun

    samundaron ka swad meri zaban par hai

    main sungh kar machhliyon ki KHushbu machal raha hun

    nahin hai 'mamun' sath mere yahan pe koi

    akela hi zindagi ki rahon pe chal raha hun

    Source:

    Sanson Ke Paar (Pg. 145)

    • Author: Khalil Mamoon
      • Edition: 1976
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now