aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo dil ko pahle mayassar tha kya hua us ka

Faizi

jo dil ko pahle mayassar tha kya hua us ka

Faizi

MORE BYFaizi

    jo dil ko pahle mayassar thā kyā huā us

    jo is sukūn se behtar thā kyā huā us

    kahāñ liye chalī jaatī hai mujh ko vīrānī

    yahīñ kahīñ pe mirā ghar thā kyā huā us

    kuchh aise ashk piye haiñ ki ab ḳhabar nahīñ

    is aañkh meñ jo samundar thā kyā huā us

    nazar ga.ī so ga.ī par koī batā.e mujhe

    baḌe kamāl manzar thā kyā huā us

    ye sochne nahīñ detā sitamgaroñ hujūm

    ki vo jo pahlā sitam-gar thā kyā huā us

    maiñ sub.h ḳhvāb se jaagā to ye ḳhayāl aayā

    jo raat mere barābar thā kyā huā us

    maiñ jis ke haath lagā huuñ use mubārak ho

    magar jo merā muqaddar thā kyā huā us

    jo dil ko pahle mayassar tha kya hua us ka

    jo is sukun se behtar tha kya hua us ka

    kahan liye chali jati hai mujh ko virani

    yahin kahin pe mera ghar tha kya hua us ka

    kuchh aise ashk piye hain ki ab KHabar hi nahin

    is aankh mein jo samundar tha kya hua us ka

    nazar gai so gai par koi batae mujhe

    baDe kamal ka manzar tha kya hua us ka

    ye sochne nahin deta sitamgaron ka hujum

    ki wo jo pahla sitam-gar tha kya hua us ka

    main subh KHwab se jaga to ye KHayal aaya

    jo raat mere barabar tha kya hua us ka

    main jis ke hath laga hun use mubarak ho

    magar jo mera muqaddar tha kya hua us ka

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    jo dil ko pahle mayassar tha kya hua us ka Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now