Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi kabhi chup ho jaane ki KHwahish hoti hai

Khalid Ebadi

kabhi kabhi chup ho jaane ki KHwahish hoti hai

Khalid Ebadi

MORE BYKhalid Ebadi

    kabhī kabhī chup ho jaane ḳhvāhish hotī hai

    aaise meñ jab tīr-e-sitam bārish hotī hai

    haal hamārā sunñe vaale jaane kyā socheñ

    yuuñ bhī kaisī kaisī zehnī kāvish hotī hai

    dīvāroñ par kyā likkhā hai paḌh ke batlāo

    kyā aisī bātoñ par yaaro nālish hotī hai

    ham is ta.amīl meñ dīvāne ban jaate haiñ

    dil aaise nādāñ jab farmā.ish hotī hai

    duniyā se ik roz hamārī baat huī chhup kar

    so be-chārī ab tak fahmā.ish hotī hai

    ek chhat ke nīche chāroñ vahshī kyā baiThe

    dānāoñ ne samjhā koī sāzish hotī hai

    yuuñ bhī ham ko shā.er-vā.er kahlānā kab thā

    sheroñ meñ bhī apne jhūTī dānish hotī hai

    kabhi kabhi chup ho jaane ki KHwahish hoti hai

    aaise mein jab tir-e-sitam ki barish hoti hai

    haal hamara sunne wale jaane kya sochen

    yun bhi kaisi kaisi zehni kawish hoti hai

    diwaron par kya likkha hai paDh ke batlao

    kya aisi baaton par yaro nalish hoti hai

    hum is ki tamil mein diwane ban jate hain

    dil aaise nadan ki jab farmaish hoti hai

    duniya se ek roz hamari baat hui chhup kar

    so be-chaari ki ab tak fahmaish hoti hai

    ek hi chhat ke niche chaaron wahshi kya baiThe

    danaon ne samjha koi sazish hoti hai

    yun bhi hum ko shaer-waer kahlana kab tha

    sheron mein bhi apne jhuTi danish hoti hai

    Source:

    khush ahjaar (Pg. 47)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now