kisi KHayal ki hiddat se jalna chahti hun

Azra Naqvi

kisi KHayal ki hiddat se jalna chahti hun

Azra Naqvi

MORE BYAzra Naqvi

  kisī ḳhayāl hiddat se jalnā chāhtī huuñ

  maiñ lafz lafz ġhazal meñ pighalnā chāhtī huuñ

  ajiib mausam-e-dil hai ajiib majbūrī

  na ḳhud se rūThūñ na tum se bichhaḌnā chāhtī huuñ

  pahan ke ḳhvāb-e-qabā DhūñD lūñgī chāñd-nagar

  sahaj sahaj kisī bādal pe chalnā chāhtī huuñ

  haqīqateñ to mire roz o shab sāthī haiñ

  maiñ roz o shab haqīqat badalnā chāhtī huuñ

  kabhī to ḳhud-nigarī fasīl se bāhar

  ḳhud apne saath safar par nikalnā chāhtī huuñ

  kisi KHayal ki hiddat se jalna chahti hun

  main lafz lafz ghazal mein pighalna chahti hun

  ajib mausam-e-dil hai ajib majburi

  na KHud se ruThun na tum se bichhaDna chahti hun

  pahan ke KHwab-e-qaba DhunD lungi chand-nagar

  sahaj sahaj kisi baadal pe chalna chahti hun

  haqiqaten to mere roz o shab ki sathi hain

  main roz o shab ki haqiqat badalna chahti hun

  kabhi to KHud-nigari ki fasil se bahar

  KHud apne sath safar par nikalna chahti hun

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY